Welcome To Islamic Information Site!!!

☆ Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Wafat ka Marz:


*Riwayto me Aata Hai Ke- Qalbe-e-Wafat Ke Kuch Saal Pahle Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Ek Yahudan Ne Dawat Di,.. Aap Apne 2 Sahaba Ke Saath Uss Dawat Me Tashreef Leg Gaye ,. Uss Yahudan Ne Khane Me Zehar Milakar Aapke Samne Pesh Kiya ,.. Jise Khakar Wo 2 Sahabi Fouran Inteqal Kar Gaye ,. Aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Wo Lukma Muuh Me Lekar Chaba Hi Liya Aur Zehar Ka Andesha Hone Par Thunk Diya..
– Riwayato Me Aata Hai Ke Aap Ko Aakhri Wakt Tak Hone Wale Marz Ki Taqleef Ka Sabab Yahi Zehar Tha..
* * * * *
*Aapke Marz Me Kami Beshi Hoti Rehti Thi Khaas Wafat Ke Din (12 Rabbi-Ul-Awwal) Ke Roz Apka Hujra (Maayi Aaysha Ka Ghar) Masjid Ke Samne Hi Tha,.. Aapne Parda Uthakar Dekha Tou Log Namaz-e-Fazr Padh Rahe They ,.. Ye Dekhkar Khushi Se Aap Hans Padey,.. Logon Ne Samjha Ke Aap Masjid Me Aana Chahte Hai,.. Maare Khushi Ke Tamam Sahaba Bekabu Ho Gaye ,. Magar Aapne Ishare Se Roka Aur Huzre Me Dakhil Ho Kar Parda Daal Diya ,..
Ye Sabse Aakhri Mouka Tha Ki Sahaba Kiram Ne Jamal-e-Naboowat Ki Jiyarat Ki,..
* Iske Baad Baar-Baar Gashi (Behoshi) Ka Doura Padne Laga,..
Hazrte Fatima Zehra (Razi’Allahu Anha) Ki Zubaan Se Shiddate Gham Me Ye Lafz Nikal Gaya – “Haay Re Mere Baap Ki Baichaini”
*Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya – “Aye Beti ! Tumhara Baap Aaj Ke Baad Kabhi Baichain Na Hoga!”
– (Bukhari Jild:2, Safa:241, Baab: Marzunabbi Sallallahu Alaihi Wasallam)
# Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Zubaan-e-Mubarak Ke Aakhri Alfaz:
*Wafat Se Thodi Der Pehle Sah Pahar Ka Wakt Tha Ki Aapke Sina-e-Akdas Me Saans Ki Ghar-Gharahat Mehsus Hone Lagi.. Itne Me Aapke Labe-Mubarak Hiley Aur Logo Ne Ye Alfaz Suney – “Namaz Aur Ghulamo Ka Khayal Rakho”
*Aapke Paas Me Paani Ki Ek Lagan Thi Isme Baar Hath Daltey , Aur Chehre Akdas Par Malte, Aur Kalma Padhte ,.. Apni Chadar Mubarak Ko Kabhi Muhh Par Daaltey Tou Kabhi Hata Detey ,..
*Hazrate Aayisha (Razi’Allahi Anhu) Aapke Sir-e-Mubarak Ko Apne Siney Se Lagaye Baithi Hui Thi Itney Me Aapne Hath Uthakat Ungli Se Ishara Kiya Aur 3 Martba Farmaya – “(Tarjuma: Ab Koi Nahi! Balki Wo Bada Rafik Chahiye)”
– Yahi Alfaz Zabane Mukaddas Pe They Ki Nagaha Mukaddas Hath Latak Gaye Aur Aankhe Chath Ki Taraf Dekhtey Hue Khuli Ki Khuli Rahi Aur Aap Iss Duniya Se Rukhsat Kar Gaye ,..
– (Bukhari ; Jild :2 , Safa:640 & 641) !!! (Inna Lillahi Wa Inna Ialahi Rajiun) !!!
*Tareekh-e-Wafat Me Muarakhin Ka Bada Ikhtlaf Hai Lekin Ispar Tamam Ulmaye Sirat Ka Ittefaq Hai Ki Mahina Rabbi-Ul-Awwal Ka Tha Aur Tarikh 12 Thi…
# Wafat Ka Asar:
Huzure Akdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Wafat Se Sahaba-e-Karam Aur Ahle Baith Ko Kitna Bada Sadma Phocha Iski Tasvir Kashi Ke Liye Hazaro Safa’at Bhi Kafi Nahi Ho Sakti ,..
– Hazrate Usman Ghani (Razi’Allahu Anhu) Par Aisa Wakt Taari Ho Gaya Ke Wo Idhar Udhar Bhage Bhage Firte They ,.. Magar Kisi Se Na Kuch Kehte Aur Na Kisi Se Kuch Suntey They,..
– Hazrat Ali (Razi’Allahu Anhu) Ranjo-Malal Me Nidhal Hokar Is Tarah Baithe Rahe Ke Unme Uthne-Baithne Ki Sakat Hi Nahi Rahi ,..
– Hazrat Abdullah Bin Unais (Razi’Allahu Anhu) Ke Qalb (Heart) Par Aisa Dhakka Laga Ke Wo Iss Sadme Ko Bardasht Na Kar Sakey Au Unhe Dil Ka Doura Pad Gaya,..
– Hazrat Umar (Razi’Allahu Anhu) Is Kadar Hosho-Hawaas Kho Baithe Ki Unhone Talwar Khinch Li Aur Nangi Talwar Lekar Madina Ki Galiyo Me Idhar Udhar Ghumne Lagey Aur Ye Kehte Firte Ki – “Agar Kisi Ne Ye Kaha Ke Mere Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Wafat Ho Gayi Tou Mai Isi Talwar Se Uski Garden Uda Dunga! “
# Wafat-e-Rasool Par Abu Bakar Siddihk Ka Khutba:
*Bukhari Sharif Ki Riwayat Me Hai Ke Hazrate Abu Baqar Sidhik (Razi’Allahu Anhu) Apne Ghodey Par Sawar Hokar “Sukh” Se Aaye Jo Ki Masjide Nabwi Se Ek Mile Ke Fasle Par Tha ,..
Aur Kisi Se Koi Baat Na Kahi Na Suni.. Sidhey Hazrte Ayesha (Razi’Allahu Anhu) Ki Hujre Mubarak Me Chale Gaye
– Aur Huzur-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Rukhe Mubarak Se Chadar Hatakar Aapki Dono Aankho Ke Darmiyan Nihayat Garamjoshi Ke Sath Ek Bosa Diya ,..
*Aur Kaha Ke – “Aap Apni Hayat Aur Wafat Dono Halat Me Pakiza Rahe! ,… Mere Maa-Baap Aap Par Fida Ho,… Hargiz Khuda Ta’ala Aap Par Do Mouto Ko Jama Nahi Farmayega ..!!!. Aapki Jo Mout Likhi Huyi Thi Aap Uss Mout Ke Sath Wafat Pa Chuke ,….
Iske Baad Hazarte Abu Baqar (Razi’Allahu Anhu) Masjid Me Tashrif Laye Aur Logon Ko Mutawwajo Karne Keliye Khutba Dena Shuru Kiya
“Ke – Jo Shakhs Tum Me Se Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Parashtish Karta Tha Wo Jaan Le Ke Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Wafat Kar Gaye Hai ,..
Aur Tum Me Se Jo Shakhs Khuda Ki Parastish Karta Hai Tou Wo Jaan Le Ke Khuda Zinda Hai Aur Wo Kabhi Marne Wala Nahi ….
*Fir Uske Baad Hazrate Abu Baqar Siddhik (Razi’Allahu Anhu) Ne Surah Imaran Ki Ayat 144 Tilawat Farmayi
♥ Al-Quraan: (Tarjuma: Aur Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Tou Ek Rasool Hai!! Unsey Pahle Bohot Se Rasool Ho Chukey Hai Tou Kya Agar Wo Inteqaal Farma Jaye Ya Shaheed Ho Jaye Tou Tum Ultey Paanv Fir Jaogey? Aur Jo Ultey Paanv Firega Allah Ka Kuch Nuksan Na Karega ,.. Aur Ankarib Allah Shukr Ada Karne Walo Ko Sawab Dega”)
– (Surah Aale Imaran; Aayat 144)
*Iske Baad Hazrat Abdullah Bin Abbas (Razi’Allahu Anhu) Kahte Hai Ke:
Hazrat Abu Bakar (Razi’Allahu Anhu) Ne Ye Aayat Tilawat Ki Tou Maloom Hota Tha Ki Goya Koi Iss Ayat Ko Janta Hi Na Tha Insey Sunkar Har Shakhs Isi Ayat Ko Padhne Laga ,..
*Hazrat Umar (Razi’Allahu Anhu) Ka Bayan Hai Ki:
Maine Jab Hazrat Abu Baqar Siddhik(Razi’Allahu Anhu) Ki Zuban Se Surah Aale Imaran Ki Ye Aayat Suni Tou Mujhe Maloom Ho Gaya Ke Wakay Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Inteqaal Kar Gaye ,…
*Aur Inke Sahibjade Hazrte Abdulah Bin Umar (Razi’Allahu Anhu) Kehte Hai Ke:
“Goya Hum Par Ek Parda Pada Hua Tha ,.. Is Ayat Ki Taraf Humara Dhyan Hi Nahi Gaya ,.. Hazrat Abu Baqar Siddhik (Razi’Allahu Anhu) Ke Khutbe Ne Is Parda Ko Utha Diya ,..”
– (Reference: Book Sirate-Mustafa by Abdul Mustafa Aazmi Alhi Rehman) – @[156344474474186:]
*Tou Beharhaal Ye Hai Pasemanzar 12 Rabbiul Awwal Ka ..
Ye Wo Din Tha Jab Fatima Zehra Ke Sar Se Apne Walid Ka Saya Hat Gaya
Ye Wo Din Tha Jab Aapki Azwaz-e-Mutahara Bewa Ho Gayi..
Ye Wo Din Tha Jab Sahaba Karam Shiddate Gham Se Gash Khakar Gir Gaye,
*Aur Ye Wohi Din Tha Jab Dushmanane Din Ko Khushiya Manane Ki Sabse Badi Wjah Mil Gayi Thi,
– Ke Allah Ke Rasool Tou Ab Duniya Se Rukhsat Kar Gaye,… Lihaja Wahi Ka Silsila Band Ho Gaya
– Aur Humara Nifaq Bhi Ab Ummat Me Poshida Rahega..
– Tou Jitna Ho Sakey Ab Ummat Ki Safo Me Dakhil Ho Kar Ummat Me Inteshar Failaya Jaaye..
– Yahi Wo Munafik They Jinke Liye 12 Rabbi-Ul-Awwal Khushiyo Ka Din Tha..
*Aur Aap Aur Hum Iss Baat Se Muttafik Bhi Hai Ke Kuch Hi Saalo Pahle Tak Iss Din Ko 12 Wafat Ke Naam Se Manaya Jata Tha.. Lekin Jab Ummat Me Shaur Aane Laga Tou Naam Badal Kar Milad-Un-Nabi Rakh Liya Aur Fir Ye Eid-Miladun Nabi Kahlaya.. Khudaya Khair Karey ..
# Allah Reham Kare ,.
– Aaj Hum Kya Kar Rahe Hai 12 Rabbi-Ul-Awwal Ko ?
– Kiski Sunnat Par Amal Kar Rahe Hai ?
*Mere Azeezo ! Thoda Tou Gouro Fikr Karo..
– Kya Sahaba Se Badhkar Bhi Mohabbat-e-Rasool Ka Dawedar Koi Ho Sakta Hai ?
– Jab Unhe Iss Din Jashn Manane Ka Ilm Na Hua
– Tou Hum Kya Aukaat Rakhte Hai Thoda Tou Andaza Lagaiye ..
*Yakinan Wiladate Rasool Ki Khushi Har Momin Ko Hai ,..
– Lekin Humari Khushiya Siyasati Rang Me Na Rangi Ho ,.
– Humari Khushiya Gair-Muslamaano Par Fakr Jatane Wali Na Ho,..
*Balki Humari Khushiya Shariyat-e-Islamiya Ke Tabey Hai …
– Alahmdullahi Jo Allah Aur Uske Rasool Ne Kaha ,..
– Jis Par Sahaba Ne Amal Kiya Wohi Humare Liye Hujjat Honi Chahiye..
– Sahaba ne Rasool-e-Kareem Ki Aamad par zingadi bhar hakiki khushiya manayi
– Yaani Aapki Ita-at Ko Lazim Aur farz Jana,.. Aur Deen me Naye Akide Ijad Karne Se Ahtiyat Kiya ..
♥ Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke –
# Allah Hum Tamam Ko Hidayat De ,..
# Hume Ek Aur Nek Banaye ! Hume Sirate Mustakim Par Chalaye!!
# Hum Tamam Ko Rasool-e-Karrem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sacchi Ita-at karne Ki Taufik Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Share on Google Plus

About Faruque Aalam

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment