Welcome To Islamic Information Site!!!

☆ Sunnat Ki Ahmiyat: Part-5

» Mehfum-e-Hadees: Farman-e-Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam)Hai Ke –
“Jo Shakhs Meri Ummat Tak Koi Islami Baat Pohchaye Taki Uss Se Sunnat Qaayam Ki Jaye Ya Uss Se Bad’Mazhabi Door Ki Jaaye Tou Woh Jannati Hai”. – (Tirmizi Sharif)
Gour Karne Waali Baat Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)Uss Shakhs Ko Jannat Ki Basharat Dey Rahe Hai Jiska Tou Hum Mazak Udatey Hai!.. Jabki Hum Saochtey Tak Nahi Ke Hakikat Me Hum Kiska Mazaq Udatey Hai ..
# Sunnat Ka Mazak Udaney Se Ahtiyat Kare:
Aaj Agar Koi Sunnato Par Amal Ki Baat Karta Hai Tou Log Uska Mazak Udatey Hai !!
Allah Ke Liye, Jab Koi Shakhs Koi Baat Kahe Tou Kum-Se-Kum Kaan Dhar Dijiye, Koshish Kijiye Ke Usney Kaha Se Ki Wo Baat, Puch Lijiye ,..
Kahi Aisa Na Ho Ke La-Ilmi Me Mai Uski Baat Ka Mazak Uda Du Aur Baad Me Pata Chaley Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Thi, Fir Baadme Mujhe Zindagi Bhar Pachtana Padey, Ke Kyu Maine Mazak Udaya Mere Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Ka ,..
Beharhaal Nabiyon Ki Ba’asat Ka Maksad Unki Ita-at Hai,.. Aur Rasool(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ba-Asat Ka Maksad Bhi Yahi Hai, Aapko Allah Rabbul Izzat Ne “Ideal Aur Role” Model Banaya Hai ,.. Lekin Aaj Rasool’Allah Ki Taalimat Ko Humne Chorr Diya Aur Uska Natija Kya Hua Hum Sabhi Dekh Hi Rahe Hai ,..
# Jisne Sunnat Se Mohabbat ki Wo RasoolAllah Ke Sath Hai:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Ansari Sahabi Aaye ,.. Wo Ghumjada They Bohot ,..
Rasool’Allah Ne Unki Pareshani Ka Sabab Pucha,
Tou Unhone Kaha – “Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Ek Gham Mujhe Khaye Ja Raha Hai, Ke Mai Yeh Sochta Hu Ke Aaj Dunia Me Aapka Chehra Mubarak Dekhey Bagair Hum Reh Nahi Patey, Chalte Aur Firtey, Uthtey Aur Baithtey Jab Bhi Aapki Yaad Aati, Aapse Aakar Hum Mil Letey Aapka Didaar Karte Aur Hume Sukun Milta Hai ..
Lekin Mai Yeh Soch Kar Gham Kha Raha Hu Ke Roze Qayamat Tou Aap Ambiya (Alaihi Salaam) Ke Sath Hongey, Waha Tou Hum Aapka Didaar Na Kar Payenge …
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Khamosh Rahey …
Tabhi Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Par Yeh Aayat Nazil Hoti Hai ..
♥ Al-Quraan: “Jo Koi Allah Aur Rasool Ki Farmabardari Kerega Woh (Roze Qayamat) Unn Logon Ke Sath Hoga Jin Per Allah Ta’ala Ne Inaam Kiya Hai! Jaisey Nabi Aur Siddique Aur Shaheed Aur Nek Log Yeh Behtareen Rafiq Hai”. – (Surah 4 Nisa: Ayat 69)
Aur Fir Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
» Hadees: “Al-Maru Ma’ Man Ahab”
“Insan (Qayamat Ke Din) Uskey Saath Jis Sey Wo Mohabbat Karta Hai”.
– (Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 189) – @[156344474474186:]
Aur Anas Bin Malik(RaziAllahu Anhu) Kehte Hai Ke, Iss Hadees Ko Sun’ne Se Jyada Hume Kabhi Kisi Aur Hadees Par Itni Khushi Nahi Hui.
Ke Insan Uske Sath Jis’se Wo Mohabbat Karta Hai!
Aur Hum Jantey Hai Ke Hum Rasool’Allah Se Mohabbat Karte Hai, Lihaja Humara Hisaab Bhi Rasool’Allah Ke Sath Hoga,..
* Tou Jisney Rasool’Allah Se Mohabbat Ki Yaani Rasool’Allah Ki Ita-at Ki. Wo Rasool’Allah Ke Sath Hai ,..
* Jisney Filmstaro Ki Itteba Ki Unsey Mohabbat Ki, Unkey Tareeko Ko Apnaya, Wo Unke Sath Hoga ,..
* Jisney Sportstars Ko Pasand Kiya Unkey Tareeke Par Chala Wo Unke Sath Hai ,..
* Jisney Kuffaro Ko Pasand Kiya, Unkey Tarsh Ko Apnaya Aur Unkey Tareeko Par Chala Wo Unkey Sath Hai..
♥ InshaAllah Ul Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
To Be Continue ….........
Share on Google Plus

About Faruque Aalam

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment