Welcome To Islamic Information Site!!!

☆ Biddat Ki Haqeeqat

# DEEN ME BIDDATO KA NUQSAAN
Allah Ne Duniya Me Tou Hume Ijajat Di Thi Biddate Karne Ki ,.. Lekin Waha Tou Ijadad, Invension Aur Discoveries Chorr Di Aur Humne Deen Ke Andar Ijadad Shuru Kar Diye ,…
Deen Ke Andar Biddato Ke Badey-Badey Towers Khadey Kar Diye,.. Subhan’Allah !!!
Aur Jiska Nuqsaan Ye Hua Ke Agar Koi NonMmuslim Aisi Biddatto Ko Deen Samajh Ley Tou Jo Bhi Uske Andar Deen-e-Islam Se Ragbat Thi Wo Bhi Khatm Ho Jayegi Aur Yahi Sochega Ke Islam Tou Hamare Dharm Se Bhi Sakhgt Ho Gaya ,..
*Ye Karo, *Wo Karo,.. *Hazaro Mazaro Par Hazri Do ,.. *Mare Tou Iitey Kilo Chawal Do, *10 Wa , *30 Wa, *40 Wa Manao,.. *365 Din Me Hazaro Urs Manao,.. *Hatta Ke Apne Nabi Ke Wafat Ke Deen (12 Rabbil Awwal) Ko Bhi Khushiya Manao (Nauzubillah Summa Nauzubillah),..
Ye Sab Dekhkar Koi Bhi NonMuslim Kahega Ke – “Mai Jaha Hu Wahi Thik Hu ,.”
Yaad Rakhiye Ye Deen Bohot Aasan Hai ,.. Hikmto Se Bhara Hai ,.. Iss Deen Ko Rasool’Allah(ﷺ) Ne Mukkamil Kar Diya Hai,.. Isme Ab Koi Naya Akida, Naya Amal Shameel Nahi Ho Sakta,..
Aur Jo Koi Iss Deen Me Naya Aqeeda Ijad Karega Wo Rab Ke Nazdeek Mardud Hoga,.. Kyuni Usney Ilzam Lagaya Rasool’Allah(ﷺ) Ke Deen Par, Aapki Risalat Par ,..
Ke Ye Falah-Falah Neki Jo Humne Ijdad Ki Hai Wo Neki Rasool’Allah(ﷺ) Ko Maloom Na Thi Isiliye Aapne Nahi Ki ,.. (Maaz’Allah) ,..
Tou Deen Me Biddat Karna Bohot Badi Khabahat Hai,.. Bohot Badi Bimari Hai ,… Ye Ummat Ke Taubao Ko Kabool Nahi Hone Deti…
*Allah Ke Paas Biddat Karnewalo Ke Koi Amal Kaabile Kabool Nahi Hotey,..
*Houz-e-Kousar Se Bhi Hakaal Diye Jaynge ,…
*Rasool’Allah(ﷺ) Ki Aakhri Wasiyat Aur Jo Darr Ka Ijhaar Aapne Kiya Wo Yahi Tha Ke Deen Me Biddate Ijad Mat Karna,.
Aur Aapne Iss Baat Ki Wajahat Bhi Kar Di – “Ke Jo Koi Humare Deen Me Nayi Cheez Ijad Karega Wo Mardud Kar Diya Jayega,.. Uski Tauba Bhi Kabool Nahi Hogi Aur Uska Thikana Jahannum Ki Aag Hogi ,…”
• SABAQ: Tou Lihaja Har Muamlo Me Sunnat Ko Apne Upar Lazim Aur Farz Jaane, Uspe Agar Hum Amal Karey Tou Insha’Allah-Ul-Azeez Biddate Humari Zindagiyo Se Nikalti Jayegi,..
*Lekin Humne Agar Sunnato Ko Chorr Diya Tou Ye Biddate Humare Zindagi Ka Hissa Ban Jayengi..
Yaad Rakhiye Sunnat-Sunnat Hoti Hai,.. Is Se Mohabbat Wo Rasool’Allah(ﷺ) Se Mohabbat Hai ,..
Aur Rasool’Allah(ﷺ) Se Mohabbat Wo Jannat Me Jaane Ki Zaamin Hogi Humare Liye ,….
Agar Ye Hum Karenge Tou Duniya Me Bhi Surkhuru Honge Aur Insha’Allah-Ul-Azeez Duniya Me Kuch Na Hua Tou Aakhirat Me Tou Jarur Surkhuru Honge ,..
*Allah Ke Paas Kaamiyab Kehlayenge ,.. *Aur Khub Ajr Payenge Apne Aamal Ka,.. Chahe Fir Thodey Hi Kyu Na Ho,..
• Lekin Agar Biddat Kar Ke Khub Amal Bhi Karenge Tou “Aamilatun Nasiba, Tasla Naran Hamiya” – (Surah Ghasiya Ayat 3-4) Yaani Kitna Hi Amal Karo Lekin Jahannum Ke Indhan Ban’ne Wale Hai ,..
Tou Lihaja Agar Apne Amaal Ko Kabuliyat Tak Pohchana Hai ,.. Tou Sunnat-e-Rasool Ko Thamey Aur Deen Me Har Nayi Biddat Se, Har Naye Akide Se Airaz Karey,. Insha’Allah-Ul-Azeez Hume Kamiyabi Milegi ,…
*Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke Allah Hume Kehne Aur Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,…
*Hume Sunnat-e-Rasool Ka Muttabey Banaye ,..
*Rasool’Allah(ﷺ) ki Sacchi Mohabbat hum’me Daley ,..
*Unke Tareeke par Chalna Humare Liye Aasan Kare ,…
*Sunnato Ko Samjhna aur Uspar Chalna Humare Liye Aasan Kare,..
*Humari Naslo me Sunnat-e-Rasool Ko Baaqi rakhe ,..
*Aur Tamam Kism Ke Jahilana Aqaid Se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Share on Google Plus

About Faruque Aalam

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment