Welcome To Islamic Information Site!!!

Sehri Ki Izazat

Ibtida'an Raat Ko Uth Kar Sehri Karne Ki Ijazat Nahi Thi.

Roza Rakhne Walon Ko Guroob-E-Aaftab Ke Baad Sirf Us Waqt Tak Khaaney
Piney Ki Ijazat Thi Jab Tak Woh So Na Jaaye. Agar So Gaya Toh Ab Bedaar Ho
 Kar Khana Pina Mam'nu Tha. Magar Allahعزوجل Ne Apne Pyare Bando Par
Ehsaan-E-Azeem Farmate Hue Sehri Ki Ijazat Marhamat Farma Di Aur Is Ka
Sabab Youn Hua Jaisa Ke Khazainul Irfan Me Sadrul Afazeel Hazrate Allama Maulana
 Sayyed Mohammad Naeemuddin Muradabadi  رحمة الله تعالي عليه Naql Karte Hain.
SEHRI KI IJAZAT KI HIQAYAT
Hazrate Sayyeduna Sarma bin Qais رضي الله تعالٰی عنه Mehnati Shakhs The. EK Din
Ba-Halate-Roza Apni Zameen Me Din Bhar Kaam Kar Ke Shaam Ko Ghar Aaye. Apni
Zauja-E-Mohtarma رضي الله تعالٰی عنها Se Khana Talab Kiya. Woh Pakane Me Masroof Hui.
 Aap  رضي الله تعالٰی عنه  Thakey Hue The. Aankh Lag Gayi. Khana Tayyaar Kar Ke Jab
Aap رضي الله تعالٰی عنه Ko Jagaya Toh  رضي الله تعالٰی عنه Ne Khaney Se Inkaar Kar Diya. Kyunki
Un Dino Guroob-E-Aaftab Ke Baad So Jaane Wale Ke Liye Khana Pina Mam'nu Ho Jata Tha
Chunanchey, Khaye Piye Bagair Aap رضي الله تعالٰی عنه Ne Doosre Din Bhi Roza Rakh Liya.
Aap رضي الله تعالٰی عنه Kamzori Ke Sabab Kamzor Ho Gaye. Toh Inke Haqq Me Yeh Aayate
Muqaddasa Nazil Hui
💐Tarjuma-E-Kanzul Imaan :
"Aur Khaao Aur Piyo Yahan Tak Ki Tumhare Liye Zahir Ho Jaaye Safedi Ka Dora Siyahi Ke
Dorey Se Po Fatt Kar. Phir Raat Aane Tak Rozey Purey Karo."
(Al Qur’an : Parah 2, Al Baqarah, Ayat No. 187.)
Is Ayate Muqaddasa Me Raat  Ko Siyaah Dorey Se Aur Subhe Sadiq Ko Safed Dorey Se
Tashbeeh Di Gayi. Maa'na Yeh Hai Ki Tumhare Liye Ramzanul Mubarak Ki Raaton Me Khana
Pina Mubaah (Yani Jayez) De Diya Gaya.
Is Se Yeh Maloom Hua Ki Rozey Ka Azan-E-Fajr Se Koi Ta'lluq Nahi. Yani Fajr Ki Azan Ke
Dauran Khaney Piney Ka Koi Jawaz Hi Nahi. Azaan Ho Ya Na Ho. Aap Tak Aawaz Pahochey
Ya Na Pahonchey. Subhe Sadiq Hotey Hi Khana Pina Bilkul Hi Bandh Karna Hoga.
Ref.
(Tafseeral Khazin , Jild 1, Safha 126
Faizane Ramazan (Hindi) , Safha : 153-155, Maktabatul Madina - Hind.)
Hazrate Suleman  عليه السلام Teen Din Mahiney Ki Shuru Me, 3 Din Darmiyan Me Aur 3 Din
 Aakhir Me (Yani Mahiney Me 9 Din) Roza Rakha Kartey.
Ref.
(Kanzul Ummaal : Jild 8, Safha 308,  Hadees 24624
Faizane Ramazan (Hindi) , Safha : 93, Maktabatul Madina - Hind.)

Share on Google Plus

About Faruque Aalam

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment