Welcome To Islamic Information Site!!!

Musalman Ko Ek Jamat Se Judna Jaruri Hai ?

Musalman Ko Ek Jamat Se Judna Jaruri Hai ?
∗ Sawaal : Kya Musalman Ko Ek Jamat Se Judna Jaruri Hai ? » Jawaab: Haa!
 Ek Jamat Se Judna Jaruri Hai, Jis’se Muraad Musalmano Ki Jamaat Hai, Hadees
Me Jo Jamat Ka Lafz Aata Hai Iss Se Murad Ijtemayat Hai, Lekin Kuch Log Isko Apni
Makhsus Taraf Ishara Karte Hai Ke – “Iss Sey Muraad Hum Hai” Ya Iss Se Muraad
 Aksariyat Aur Akliyat Hai, Ya Falah Aur Falah Hai .. Yaad Rakhiye Jab Bhi Hum
 Quraan Aur Hadees Ki Roshni Me Haq Aur Baatil Ka Mu’tala Kartey Hai Tou Haq
 Humesha Aqliyat Me Hi Raha Hai, Thoda Hi Raha Hai. Tou Goya Aksariyat Aur Aqliyat
 Ka Koi Taqaza Nahi Shariyat Me .. Aur Haa! Haq Haq Hai Fir Chahe Puri Duniya Usey
 Maaney Ya Uski Mukhalifat Karey .. Tou Kisi Ek Jamaat Se Judna Matlab Musalmano
 Ki Jamat, Musalmano Se Judna. Kat Ke Nahi Rehna ! Warna Rasool’Allah (Sallallahu
 Alaihay Wasallam) Farmatey Hai “Shaitan Ke Liye Aasan Hai Uchak Lena” Aur Jitne
 Bhi Jamate Banti Hai, Tamam Ke Chand Makasid Hai, Aur Unn Makasid Ke Tahat Wo
 Kaam Karti Hai, Aur Ye Bhi Durust Hai Ismey Koi Harz Nahi,.. Koi Ye Na Kahey Ke Sirf
 Ek Hi Jamaat Hona Chahiye. Ye Jaruri Nahi Hai, Kyunki Itni Badi Ummat Hai Ke
Namumkin Hai Ke Ek Hi Jamat Ek Hi Tanjim Kaam Karey,. Tou Mukhtalif Jamate
Mukhatalif Tanjime Kaam Kare, Aur Har Jamate Har Tanjim Ek Dusre Ke Liye Dhaagey
 Ka Kaam Karey Jis Tarah Har Dhaga Dusre Dhagey Ko Majbuti Dekar Ek Kapda Banata
 Hai .. Tou Har Jamat Aur Har Tanjim Jodey.. Lekin Masla Yaha Ho Jata Hai Ke – Jab
 Hum Kisi Se Judtey Hai Hum Todne Lag Jatey Hai … Ek Aam Aadmi Jo Kisi Jamaat Me
 Na Tha Tou Sabse Acche Tallukat Rakhta Tha,. Lekin Jab Wo Kisi Jamat Se Jud Gaya
. Tab Dusre Jamat Walo Se Tassuf Rakhne Laga …. Jo Ki Bohot Hi Galat Hai.. Har Shaksh
 Apne Karkartagi Ko Apne Mansubo Ko Janey – “Ke Mera Kaam Hai Logo Ko Masjido Se
Jodna, Iske Baad Mai Kisi Aur Ke Hawale Kar Du, Ab Aap Yaha Se Usko Aur Aagey Ka
 Bataye.. ” Tou Har Jamat Ek Dusre Ki Madad Kare, Aur Har Tanjim Ek Dusre Ki Madad
 Karke Ek Jabardast Nizam Banaye.. Lekin Humare Paas Tod-Tukdo Ka Muamla Ho Gaya..
 Ab Aayiye Giney Chuney Thodey Se Musalman Hai Jo Deen Par Chal Rahe, Puri Tadad
Agar Le Ley Tou Bohot Badi Hai Musalmano Ki, Inme Se Bohot Thodey Log Hai Jo Kisi Na
 Kisi Tanjim Se Judey Hai ?? Aur Unme Bhi Itna Kaseer Jhagda Chal Raha Hai Ke Jiski Koi
 Inteha Nahi.. Subhan’Allah … # Andaza Lagaye Ke Agar Mumbai Me Musalmano Ki
Abadi 5 Laakh Hai Tou Unmey Se Kariban 50,000 Log Judey Honge Kisi Na Kisi
Jamaat-Tanjim Se. Baaki Tou Waise Hi Hai .. Tou Unko Lana Chorkar Yeh Aapas Me
50,000 Ladh Rahey Hai.. Jo Baaki 450000 Hai Unko Jamaat Aur Tanjimo Se Jodney Ke
Bajaye Hum Aapas Me Hi Ladhne Lagey ,.. Chalo Wo Deen Ke Kisi Bhi Tanjim Se Judega,
 Allah Deen Ki Tadap Dega Tou Kabhi Na Kabhi Haq Par Aajeyga,. Agar Aap Samjhtey
 Ho Ke Mai Haq Par Hu Tou Wo Haq Par Aajeyga Mere Paas .. Lekin Humare Yaha Bhi
 Iss Mu’amle Me Bohot Hujjat Hoti Hai.. Ke Mai Haq Par Hu Tou Mere Paas Hi Aana …
 Yaa Tou 50,001 Hona Tou Mere Paas Aana Ya Baahar Hi Rehna,.. Subhan’Allah … ♥ Allah
 Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai – “Tamam Musalman Aapas Me Bhai Bhai Hai Tou
 Apne Do Bhaiyyon Me Sulah Kara Diya Karo Aur Allah Se Darte Raho Taaki Tum Per
 Rahem Kiya Jaye. – Al-Quraan 49:10” – @[156344474474186:] Lekin Afsos Humara Tou
 Aapas Me Jhagda Chal Raha Hai .. Allah Le Liye Baat Ko Samjhey, Kaam Ko Samjhe,
 Haalat Aur Mouke Ki Nazakat Ko Samjhey.. Log Chah Rahe Hai Ke Hum Alag Ho Aur
 Hum Wakay Me Harkatey Kar Ke Bata Rahe Hai Ke Hum Alag Hai.. » Sabaq: Overall
Apne Momin Bhaiyon Se Judney Ki Koshsih Karey .. Ek Rab, Ek Nabi, Ek Kitab, Ek
Ummat Tou Yakinan Tarje Amal Bhi Ek Ho. Aur Purey Dil Se Bhi Ek Ho Iss Tarha Se
 Hum Jahir Karey .. Tou Aisi Bohot Si Jamate Hai, Tanjime Hai, Aur Hona Chahiye.
Taaki Kaam Aur Jyada Se Jyada Badhey.. Aur Insaniyat Ko Fayda Pohchey .. Lekin Agar
 Koi Iss Niyat Se Idara Kholta Hai Ke Mai Falah Se Ikhtelaf Karu, Tou Unki Niyato Me
 Ikhlas Nahi Aur Allah Rabbul Izzat Aise Logon Ko Badi Sakht Saza Deta Hai Jo Apni Niyato
 Me Ikhlas Nahi Rahktey.. Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua
Share on Google Plus

About Faruque Aalam

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment