Welcome To Islamic Information Site!!!

☆ Sunnat Ki Ahmiyat: Part-2

# Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Ba-asat Ka Maksad :
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Muamla Dusre Ambiya(Alaihi Salam) Se Mukhtaleef Hai ,..
Isliye Ke Aapka Paigaam Apki Ba’asat Se Lekar Qayamat Tak Hai,
Jabki Digar Ambiya (Alaihi Salam) Ka Paigaam Unke Zindagi Unke Hayat Ek Makhsus Wakt Tak Hua Karta Tha, Jab Tak Ke Dusra Nabi Na Aajaye ,..
Dusra Nabi Aata Tou Pahle Ki Shariyat Khatm Dusre Ki Laagu Ho Jati ,…
Lekin Kyun Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aakhri Nabi Hai ! Insaniyat Ki Taraf Aur Tamam Aalam Ki Taraf Bheje Gaye, Ab Aapke Baad Koi Nabi Nahi Aaney Wala Lihaja Aapki Ita-at Sirf Musalmano Par Hi Nahi Balki Tamam Insano Par Farz Aur Wajib Hai ,.. – @[156344474474186:]
* Aur Iski Wajahat Me Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Farmaya –
♥ Al-Quraan: “Aye Rasool! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu,.” – [Surah(7) Araf: Ayat-158]
Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Insaniyat Ki Taraf Mabus Kiye Gaye,
Aur Insaniyat Ka Kaam Hai Ke Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Itteba Karey, Farmabardari Karey Aur Aap Par Imaan Laye, Aur Aapki Kitab Par Imaan Laye Aur Aapke Tareeke Par Chaley ,..
Tou Jab Insaniyat Ko Ye Hukm Aa Raha Hai Ke Rasool’Allah Ki Ita-at Karo, Tou Yaha Musalmano Par Tou Badh-Chadhkar Ye Baat Jyada Laagu Hoti Hai Kyunki Humne Imaan Ka Dawa Kiya Lihaja Humpar Ye Baat Jyada Wajib Hoti Hai …
# Sunnat Kya Hai ?
*Ab Sunnat Kya Hai ? Ye Jaan Lijiye Ke: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Qoul ,.. (Yaani Jo Aapne Kaha)
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Fail ,.. (Yaani Jo Aapne Kiya)
*Aur Aapki Takreer (Yaani Aapne Logon Ko Karte Hue Dekha Aur Khamoshi Ikhteyar Ki)
*Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Akhlaaq-e-Mubarak,.. Aadab, Ausaaf, Aapki Seerat Ye Tamam Milakar Sunnat-e-Rasool Kehlati Hai ,..
Tou Jub Mai Jikr Karunga Sunnat! Jiska Aam Lugat Ka Matlab Hota Hai Tareeka ,…
Lekin Sharayi Istehla Me Matlab Hota Hai Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Tareeka,..
Tou Nabi Ne Jo Kiya, Nabi Ne Jo Kaha! Ummat Ke Liye Wajib Aur Farz Hai Ke Usi Amal Ko Har Mu’amle Me Zindagi Ke Har Shobey Me Ikhtiyar Karey ,..
Tou Nabiyo Ke Bheje Janey Ka Maksad Hai Ke Unki Iata-at Aur Farmabardari Ki Jaye, Isliye Ke Rab Ne Unhe Munttakhib Kiya Hai Ke Hum Log Unki Baat Maney ,…
Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kyunki Saare Aalam Ke Nabi Hai, Saare Aalam Ke Liye Bheje Gaye Hai Aur Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Hum Tamam Ke Liye Usma-Tun-Hasna (Misaal/Ideal aur Role Model) Banaya Gaya Hai ,..
Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Ba-asat Ka Maksad Tha Ke Hum Unki Ita-at Kare, Itteba Kare, Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ki Farmabardari Kare Jiske Talluk Se Quraan Ne Youn Farmaya Aur Kaha:
♥ Al-Quraan: (Tarjuma: Aye Musalmano ! Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Tumhare Liye Behtareen Namuna (Ideal Aur Role Model) Hai, Jo Iman Rakhta Hai Allah Par Aur Youme Aakhirat Par Aur Allah Ko Kasrat Se Yaad Karta Hai Tou Aise Shakhs Ke Liye Jaruri Hai Ke Allah Ki Aur Uske Rasool(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ita-at Kare Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Ideal Aur Role Model Maaney . – [Surah Ahzab (33): Ayat:21]
Ab Gour Karte Hai Ke:
*Kya Wakay Me Aaj Hum Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Apna Role Model Maan Rahe Hai ?
*Kya Wakay Me Aapke Ita-at Ke Mutabik Humari Zindagi Guzar Rahi Hai ?
*Kya Wakay Me Humari Zindagi Ke Tamam Shobo Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Tareeka Chalkata Hai ?
Agar Ha ? Fir Muamla Bohot Acha Hai ,..
Aur Agar Naa? Fir Tou Mumla Jabardast Bigad Hai.. Usko Badalne Ki Jarurat Hai Aaj,…
To be Continue …
Share on Google Plus

About Faruque Aalam

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment