Welcome To Islamic Information Site!!!

☆ Sunnat Ki Ahmiyat : Part-1

(“Bismillah-Hirrahman-Nirrahim: Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai”)
♥ In shaAllah-Ul-Azezz!! Hum Iss Sesion Me “Sunnat Ke Ahmiyat” Ke Taaluk Se Kuch Aham Tazkira Karenge ,.
*Maksad Yahi Hai Ke Aaj Mu’ashre Me Jis Deen Par Hum Chal Rahe Hai Wo Kis Hadd Tak Kitabo Sunnat Se Sabit Hai ,..
Aur Sunnat-e-Rasool Ko Chorrne Ka Kya Anjaam Hum Bhugat Rahe Hai Us’se Rubaru Karwana Hai ,..
# Ambiya (Alaihi Salam) Ka Bheje Jaane Ka Maksad:
Allah Rabbul Izzat Quraan Me Surah Nisa (4) Aayat 63 Me Farmata Hai Ke
*Tarjuma: “Hum Ne Her Qaum Ke Paas Nabi Aur Rasool Bheje Sirf Iss Liye Ke Allah Ta’alaa Ke Hukm Se Uss Ki Farmabardari Ki Jaye”
Yaani Ke Allah Rabbul Izzat Jab Bhi Ambiya (Alaihi Salam) Ko Mabus Karta Hai, Bhejta Hai Aur Unko Jo Iss Mansab Par Fayej Karta Hai Tou Maksad Yahi Hota Hai Ke Allah Ke Hukm Se Unki Ita-at Ki Jaye ,.. – @[156344474474186:]
Tou Goya Anbiya (Alaihi Salam) Ke Ba’asat Ka Maksad Yeh Hai Ke Unki Ita-At Ki Jaye ,..
Mukammil Taur Se Jo Wo Kahe Usko Mana Jaye ,..
Mukkamil Taur Se Jis’se Wo Rokey Uss Se Ruka Jaye,.. Ye Hai Ambiyao Ki Ita-at,..
*Ab Ambiya (Alaihi Salato Salam) Ke Aane Ka Maksad Kya Hota Hai Ye Baat Hum Sab Jaantey Hai ?
Ke Allah Rabbul Izzat Humse Kya Chahta Hai ? Wo Bataney Ke Liye Allah Insano Me Se Ek Insan Ko Chunta Hai Jis Tak Wo Bajarye Wahi Ustak Wo Baat Pohchata Hai Jo Allah Chahta Hai Ke Uski Makhlook Tak Wo Paigam Pohchey
Taaki “Ins Aur Jins” (Insan Aur Jinn) Uspar Amal Karey…
*Tou Allah Rabbul Izzat Isliye Bhejta Hai Ke Ambiya Ek Mu’allim(Representative) Hotey Hai Aur Allah Jo Chahta Hai Inko Batata Hai Ke Insan Kya Kare Aur Kya Na Kare Aur Ye Insano Tak Wo Baatey Laakar Phocha Detey Hai …
*Aur Isi Maksad Ke Tahat Ambiya (Alaihi Salam) Ko Bheja Gaya Aur Humara Fariza Ye Tha Ke Hum Unki Ita-at Karey ,…
Aur Hadees Me Aata Hai Ke Isi Maksad Ke Tehat Allah Rabbul Izzat Ne Iss Roo-e-Zameen Par Kamobesh Sawa Laakh Nabi Aur Rasoolo Ko Mabus Kiya .. Taaki Log Allah Ke Hukm Se Unki Ita-at Kare ,…
# Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Tamam Aalam Ke Nabi Hai!
Digar Ambiya Aur Rasool Jo Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pahle Mabus Hue, Pahle Aaye, Yeh Khusus Hotey, Makhsus Hotey Kisi Qoum Ki Taraf,
Inka Paigaam Ek Wakt Tak Hota, Aur Ye Nabi Ek Makhsus Hissey Ke Liye Aatey Ek Mehdud(Limited) Waqt Ke Liye ..
*Lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Muamla Dusrey Ambiyao Se Mukhtalif Hai..
Aur Yeh Baat Aap Aur Hum Jantey Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Faramaya –
♥ Al-Quraan: “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen”
(Trajuma: Aye Nabi! Humne Aapko Tamam Insaniyat Ke Liye Rehmat Banakar Bheja) – (Surah-21: Aayat-107)
Tou Lihaja *Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Insano Ke Liye Bhi Nabi-e-Rehmat Hai,
*Rasool’Allah Jinno Ke Bhi Nabi Hai ,…
*Rasool’Allah Charind Aur Parindo Ke Bhi Nabi Hai ,…
*Rasool’Allah Tamam Makhlukat Jo Bhi Aalam Me Hai Unn Tamam Ke Nabi Hai …
Aur Iski Wajahat Aahadeese Sharifa Se Bhi Hoti Hai Ke –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Kayi Aahadees Hum Suntey Hai Ke –
#Wakiya 1. Ek Mimber Tha, Jo Ek Khajur Ki Darakht Par Banaya Gaya Tha,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uspar Khadey Hokar Khutba Diya Karte,
Aur Ek Baar Yun Hua Ke Rasool’Allah Ne Apne Mimber Ki Jagah Badal Di, Tou Umar Bin Khattab Aur Abu Baqar Siddhiq (Razi’Allahu Anhu) Farmatey Hai Ke Wo Zaad Roney Laga Aur Uski Siskiya Hum Sunn Rahey They…
*Fir Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hukm Diya Ke Isey Wapas Yaha Lakar Laga Do.,…
Tou Goya Aap Ek Zaad Ke Bhi Nabi Hai..
#Wakiya 2. Yeh Wakiya Bhi Humne Suna Ke Muslim Ki Riwayat Me Aata Hai Ke – Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)Ke Paas Ek Shakhs Ne Aakar Kaha Ke –
‘Ya Rasool’Allah ! Mera Ye Uoonth Baat Nahi Manta Meri, Nafarman Hai Yeh! ‘..
Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Uskey Paas Gaye, Aur Uss Uoonth Ne Rasool’Allah Ke Kaan-e-Mubarak Tak Apna Muuh Laya Aur Kuch Baat Kahi,.
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Uss Shakhs Se Kaha – ‘Ke Isney Mujhse Tumhari Ek Shikayat Ki Hai Ke Tum Fazar Ki Namaz Me Kotahi Kartey Ho Isiliye Ye Tumhari Baat Nahi Manta.. Lihaja Tum Wo Chorr Do Kotahi Yeh Tumhari Baat Manega..
* Tou Goya Rasool’Allah Janwaro Ke Bhi Nabi Hai,
Charind Aur Parind Ke Bhi Nabi Hai ,..
* Aur Zaad Aur Pahaad Jo Kuch Moujud Hai “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen”
Aalam Me Jo Kuch Moujud Hai, Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Unn Tamam Ke Nabi Hai..
Aur Tamam Ko Aapki Ita-at Farz Aur Wajib Hai ,..
• Web: Ummat-e-Nabi.com
• Page: Fb.com/HadiseNabwi
To Be Continue …
Share on Google Plus

About Faruque Aalam

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment